Saturday, May 28, 2022

Hindi Poem - Ishq

 Uss chand ki roshni mein uss chand se chehre ki raunak na niharun

Yeh baat dil maan na sake

Yeh toh waisi asadharan chandni hai

Jise badal chah kar bhi dhak na sake

Yeh jo tumhare liye mere dil ki dhadkan tezi se chal rahi hai

Kya koi tarqeeb hai jo ise dheemi kar sakti hai?

Tumhari ungliyon mein ungliyan pherna, tumhari qamar pakadkar chherna

Ya tumhari aankhon mein aankhen daalne se

Sirf ek ijazat ki kami hi mujhe rok sakti hai

Agar woh unkahi seema mai kabhi anjaane mein laanghun

Toh beshaq tumhe ijazat hai ki tu mujhe tok sakti ho

Puchta hun khud se kayi baar, kya hai duniya mein aisa pyaar

Jo mera dil aur mann, aur aane wala kal bhar sakti ho

Maloom hai mujhe ki mera ishq thhora mushkil hai

Par kya koi hai jo mujhse mere jaisa ishq kar sakti ho

No comments:

Post a Comment

कोरे कागज़ पर अधूरी पंक्तियाँ

जब दिन ख़ुशनुमा हो तो थोड़ा कम लिखा करता हूँ  जब रातें अँधेरी हो तो कागज़ पर ग़म लिखा करता हूँ  जब टूटा हुआ हो दिल तो कम कहा करता हूँ वफ़ा का घर...